ek guhar aansu ka na chhoDa dil ki jot jagane ko
ek guhar aañsū kā na chhoḌā dil kī jot jagāne ko
yaad kisī kī ḳhālī kar ga.ī rātoñ raat ḳhazāne ko
uḌ jaatī hai giit sunā kar jab mujh ko koī chiḌiyā
maiñ bhī saath chalā jaatā huuñ duur talak pahuñchāne ko
apnī jagah har lafz 'alāmat-e-she’r ke tār-o-pūd meñ hai
alag alag kar ke mat dekho ik ik taane baane ko
patte patte buuTe buuTe par likkhā hai naam us kā
maiñ bhī chau-raste par khaḌā huuñ apnā pata batāne ko
maiñ to rone hañsne vaalā ek tamāshā.ī huuñ bas
mujh se aur ta'alluq kyā hai 'zeb' mire afsāne ko
ek guhar aansu ka na chhoDa dil ki jot jagane ko
yaad kisi ki KHali kar gai raaton raat KHazane ko
uD jati hai git suna kar jab mujh ko koi chiDiya
main bhi sath chala jata hun dur talak pahunchane ko
apni jagah har lafz 'alamat-e-she’r ke tar-o-pud mein hai
alag alag kar ke mat dekho ek ek tane bane ko
patte patte buTe buTe par likkha hai nam us ka
main bhi chau-raste par khaDa hun apna pata batane ko
main to rone hansne wala ek tamashai hun bas
mujh se aur ta'alluq kya hai 'zeb' mere afsane ko
- Book : Dheemi Aanch ka Sitaara (Pg. 26)
- Author : Zeb Ghauri
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.