ek haalat jo tazabzub ki bani rahti hai
ek hālat jo tazabzub kī banī rahtī hai
apne saa.e se bhī har vaqt Thanī rahtī hai
ab to jo boltā huuñ pahle hī likh letā huuñ
koī talvār mire sar pe tanī rahtī hai
mutma.in huuñ maiñ kisī zaḳhmī parinde kī tarah
jāgte sote dil-o-jāñ pe banī rahtī hai
is liye jaltā badan le ke chalā aatā huuñ
tirī palkoñ ke tale chhāoñ ghanī rahtī hai
intizār us kā ḳhayāl us kā tamanna us kī
jo ḳhayāloñ meñ kahīñ gul-badanī rahtī hai
ab yaqīnī hai nazariye kā tahaffuz yaaro
sar pe talvār to gardan pe anī rahtī hai
bārhā chhūT gayā dāman-e-shīrīñ 'balrāj'
mirī taqdīr meñ bas tesha-zanī rahtī hai
ek haalat jo tazabzub ki bani rahti hai
apne sae se bhi har waqt Thani rahti hai
ab to jo bolta hun pahle hi likh leta hun
koi talwar mere sar pe tani rahti hai
mutmain hun main kisi zaKHmi parinde ki tarah
jagte sote dil-o-jaan pe bani rahti hai
is liye jalta badan le ke chala aata hun
teri palkon ke tale chhaon ghani rahti hai
intizar us ka KHayal us ka tamanna us ki
jo KHayalon mein kahin gul-badani rahti hai
ab yaqini hai nazariye ka tahaffuz yaro
sar pe talwar to gardan pe ani rahti hai
barha chhuT gaya daman-e-shirin 'balraj'
meri taqdir mein bas tesha-zani rahti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.