ek hi waqt mein bimar bhi hain Thik bhi hain
ek hī vaqt meñ bīmār bhī haiñ Thiik bhī haiñ
ye jo ham duur bhī haiñ aap ke nazdīk bhī haiñ
husn chehre se chhalaktā hai siyāhī dil se
haa.e ye log jo raushan bhī haiñ tārīk bhī haiñ
pankhuḌī dekhte hī 'mīr' ko detā huuñ daad
hoñT rangīñ bhī haiñ nāzuk bhī haiñ bārīk bhī haiñ
shāne se shāna milā.ūñ ki bachā.ūñ pahlū
dost e.azāz bhī haiñ bā.is-e-taz.hīk bhī haiñ
in fazāoñ meñ sabhī rang hamīñ se haiñ ki ham
ahl-e-īmān bhī haiñ sāhib-e-tashkīk bhī haiñ
kuchh samajh meñ nahīñ aatā ki mire shahr ke log
vajh-e-taz.hīk bhī haiñ lā.eq-e-tabrīk bhī haiñ
ek hi waqt mein bimar bhi hain Thik bhi hain
ye jo hum dur bhi hain aap ke nazdik bhi hain
husn chehre se chhalakta hai siyahi dil se
hae ye log jo raushan bhi hain tarik bhi hain
pankhuDi dekhte hi 'mir' ko deta hun dad
honT rangin bhi hain nazuk bhi hain barik bhi hain
shane se shana milaun ki bachaun pahlu
dost eazaz bhi hain bais-e-tazhik bhi hain
in fazaon mein sabhi rang hamin se hain ki hum
ahl-e-iman bhi hain sahib-e-tashkik bhi hain
kuchh samajh mein nahin aata ki mere shahr ke log
wajh-e-tazhik bhi hain laeq-e-tabrik bhi hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.