ek kohram sa har waqt uThae rakkhen
ek kohrām sā har vaqt uThā.e rakkheñ
aap māhaul bahar-hāl banā.e rakkheñ
ek saa.e kī tarah saath lagā rahtā hai
ham use yaad kareñ yā ki bhulā.e rakkheñ
aql-mandī kā taqāzā to nahīñ hai phir bhī
ham ne sochā hai tire saath nibhā.e rakkheñ
kaun suntā hai yahāñ kis kī sadā.eñ yuuñ to
phir bhī lāzim hai ki ham shor machā.e rakkheñ
in añdheroñ pe koī farq nahīñ paḌne kā
ab charāġhoñ ko bujhā deñ ki jalā.e rakkheñ
kitnā mushkil hai kareñ talḳh-bayānī us par
apne hoñThoñ pe tabassum bhī sajā.e rakkheñ
sarf honā hai bahar-hāl fanā honā hai
ḳharch karte raheñ ḳhud ko ki bachā.e rakkheñ
ek kohram sa har waqt uThae rakkhen
aap mahaul bahar-haal banae rakkhen
ek sae ki tarah sath laga rahta hai
hum use yaad karen ya ki bhulae rakkhen
aql-mandi ka taqaza to nahin hai phir bhi
hum ne socha hai tere sath nibhae rakkhen
kaun sunta hai yahan kis ki sadaen yun to
phir bhi lazim hai ki hum shor machae rakkhen
in andheron pe koi farq nahin paDne ka
ab charaghon ko bujha den ki jalae rakkhen
kitna mushkil hai karen talKH-bayani us par
apne honThon pe tabassum bhi sajae rakkhen
sarf hona hai bahar-haal fana hona hai
KHarch karte rahen KHud ko ki bachae rakkhen
- Book : Raushni Jaari Karo (Pg. 52)
- Author : Manish Shukla
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.