ek lamha bhi kyon qarar nahin
ek lamha bhī kyoñ qarār nahīñ
dil bujhā to hai sogvār nahīñ
tum tasallī to de rahe ho mujhe
ġham pe kyoñ mujh ko iḳhtiyār nahīñ
dil se zinda ho to raho dil meñ
dil hai merā koī mazār nahīñ
maut hī jab najāt de ġham se
kyoñ hameñ is kā intizār nahīñ
'aks dikh to rahā hai shīshe meñ
mere chehre pe vo bahār nahīñ
tere hāthoñ meñ kyoñ ye patthar hai
ab kisī ko kisī se pyaar nahīñ
aur bhī log jal rahe haiñ yahāñ
sirf terā hī ye ġhubār nahīñ
ek lamha bhi kyon qarar nahin
dil bujha to hai sogwar nahin
tum tasalli to de rahe ho mujhe
gham pe kyon mujh ko iKHtiyar nahin
dil se zinda ho to raho dil mein
dil hai mera koi mazar nahin
maut hi jab najat de gham se
kyon hamein is ka intizar nahin
'aks dikh to raha hai shishe mein
mere chehre pe wo bahaar nahin
tere hathon mein kyon ye patthar hai
ab kisi ko kisi se pyar nahin
aur bhi log jal rahe hain yahan
sirf tera hi ye ghubar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.