ek manzar pas-e-diwar nazar aata hai
ek manzar pas-e-dīvār nazar aatā hai
ruuh ko aañkh ke us paar nazar aatā hai
apne ā.īne pe ḳhud sang uThā.e hue vo
'aks se bar-sar-e-paikār nazar aatā hai
'ishq kā mo'jiza ye hai ki darūn-e-sīna
dil nahīñ ab mujhe dildār nazar aatā hai
har taraf ek hī jalva hai ki maiñ dekhtā huuñ
har taraf mujh ko mirā yaar nazar aatā hai
ye 'ajab kūcha-e-ḳhush-hāl hai is meñ har shaḳhs
apne hālāt se bezār nazar aatā hai
apne ā.īne se muhtāt raho tum 'āsim'
'aks thāme hue talvār nazar aatā hai
ek manzar pas-e-diwar nazar aata hai
ruh ko aankh ke us par nazar aata hai
apne aaine pe KHud sang uThae hue wo
'aks se bar-sar-e-paikar nazar aata hai
'ishq ka mo'jiza ye hai ki darun-e-sina
dil nahin ab mujhe dildar nazar aata hai
har taraf ek hi jalwa hai ki main dekhta hun
har taraf mujh ko mera yar nazar aata hai
ye 'ajab kucha-e-KHush-haal hai is mein har shaKHs
apne haalat se bezar nazar aata hai
apne aaine se muhtat raho tum 'asim'
'aks thame hue talwar nazar aata hai
- Book : Lafz Mehfooz Kar Liye Jaayen (Pg. 140)
- Author :Asim Wasti
- Publication : Rekhta Publications (2020)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.