ek muddat ho gai koi yahan aaya nahin
ek muddat ho ga.ī koī yahāñ aayā nahīñ
lekin ab to maiñ akele ghar meñ bhī tanhā nahīñ
is baras gulzār meñ ik phuul bhī mahkā nahīñ
shāyad ab mausam pe us kī zulf kā saaya nahīñ
ban ke aatī hai ḳhushī ik naġhma-e-kaif-o-surūr
ġham chalā aatā hai aur āvāz tak detā nahīñ
ab nahīñ khilte haiñ pahle kī tarah ghar meñ gulāb
koī chehra is udaas āñgan meñ ab hañstā nahīñ
kaise kah duuñ zindagī par maiñ ne qaabū pā liyā
mere hāthoñ meñ abhī dāman tirā aayā nahīñ
chāñdnī sajde kiyā kartī hai un ke paañv par
apnī zebā.ī kā ab bhī un ko andāzā nahīñ
fitrat-e-dīvāna ḳhushbū kī tarah āzād hai
tere 'shādāñ' ke liye pābandī-e-sahrā nahīñ
ek muddat ho gai koi yahan aaya nahin
lekin ab to main akele ghar mein bhi tanha nahin
is baras gulzar mein ek phul bhi mahka nahin
shayad ab mausam pe us ki zulf ka saya nahin
ban ke aati hai KHushi ek naghma-e-kaif-o-surur
gham chala aata hai aur aawaz tak deta nahin
ab nahin khilte hain pahle ki tarah ghar mein gulab
koi chehra is udas aangan mein ab hansta nahin
kaise kah dun zindagi par main ne qabu pa liya
mere hathon mein abhi daman tera aaya nahin
chandni sajde kiya karti hai un ke panw par
apni zebai ka ab bhi un ko andaza nahin
fitrat-e-diwana KHushbu ki tarah aazad hai
tere 'shadan' ke liye pabandi-e-sahra nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.