aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek muddat se jo sine mein basa hai kya hai

Obaidur Rahman

ek muddat se jo sine mein basa hai kya hai

Obaidur Rahman

MORE BYObaidur Rahman

    ek muddat se jo siine meñ basā hai kyā hai

    karb-e-ehsās hai karb-e-anā hai kyā hai

    daur-e-hāzir meñ har ik shaḳhs hai kyuuñ sahmā huā

    dil meñ jo ḳhauf hai vo ḳhauf-e-fanā hai kyā hai

    mujh ko is lafz mafhūm batā do yaaro

    dostī naam hai jis vo jafā hai kyā hai

    baat matlab kahūñ us se magar pahle zarā

    ye to mā'lūm ho vo ḳhush hai ḳhafā hai kyā hai

    is qadar ranj-o-alam itne masā.ib tauba

    zindagī silsila-e-āh-o-bukā hai kyā hai

    jo giraftār huā is meñ ulajhtā gayā

    zulf-e-jānāñ bhī koī dām-e-balā hai kyā hai

    kitnī baar ye chāhā ki zarā dekhūñ to

    us āñkhoñ meñ jo ik naam likhā hai kyā hai

    ek muddat se jo sine mein basa hai kya hai

    karb-e-ehsas hai ya karb-e-ana hai kya hai

    daur-e-hazir mein har ek shaKHs hai kyun sahma hua

    dil mein jo KHauf hai wo KHauf-e-fana hai kya hai

    mujh ko is lafz ka mafhum bata do yaro

    dosti nam hai jis ka wo jafa hai kya hai

    baat matlab ki kahun us se magar pahle zara

    ye to ma'lum ho wo KHush hai KHafa hai kya hai

    is qadar ranj-o-alam itne masaib tauba

    zindagi silsila-e-ah-o-buka hai kya hai

    jo giraftar hua is mein ulajhta hi gaya

    zulf-e-jaanan bhi koi dam-e-bala hai kya hai

    kitni hi bar ye chaha ki zara dekhun to

    us ki aankhon mein jo ek nam likha hai kya hai

    Source:

    Aawaz Ke Saye (Poetry) (Pg. 27)

    • Author: Obaidur Rahman
      • Edition: 2001
      • Publisher: Sehla Obaid
      • Year of Publication: 2001
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now