ek taswir bolti hogi
ek tasvīr boltī hogī
koī dīvār sun rahī hogī
terī maujūdgī na ho jab tak
kis tarah ghar meñ raushnī hogī
ham zarā laTe ghar se nikle the
rail-gāḌī guzar ga.ī hogī
is kināre se us kināre tak
merī āvāz aa rahī hogī
ham bhī kuchh aur rang meñ hoñge
aur rut bhī badal ga.ī hogī
jis ko sun kar haiñ sab ke hosh uḌe
tum ne bhī vo ḳhabar sunī hogī
ek taswir bolti hogi
koi diwar sun rahi hogi
teri maujudgi na ho jab tak
kis tarah ghar mein raushni hogi
hum zara laTe ghar se nikle the
rail-gaDi guzar gai hogi
is kinare se us kinare tak
meri aawaz aa rahi hogi
hum bhi kuchh aur rang mein honge
aur rut bhi badal gai hogi
jis ko sun kar hain sab ke hosh uDe
tum ne bhi wo KHabar suni hogi
- Book : Dhoop Mein Baithne Ke Din Aaye (Pg. 37)
- Author : Sunil Aftab
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.