ek tu jo safar par se palaT kar nahin aaya
ek tū jo safar par se palaT kar nahīñ aayā
phir maiñ bhī kabhī shaam Dhale ghar nahīñ aayā
muddat huī ik shaḳhs ko rūThe hue mujh se
muddat huī is chhat pe kabūtar nahīñ aayā
masjid ko sabhī jaate haiñ ehsān jatā kar
maiḳhāne meñ koī bhī batā kar nahīñ aayā
koshish to bahut kī ki tirā naam na aa.e
mazmūn tire zikr se bāhar nahīñ aayā
ehsān haiñ ahbāb ke ham par ye vagarna
dushman kī taraf se koī patthar nahīñ aayā
haq vāloñ kā sheva hai ki aa jaate haiñ varna
maqtal meñ koī ḳhud se to chal kar nahīñ aayā
vaise to sabhī aap kī nazroñ se mare haiñ
ilzām kabhī aap ke sar par nahīñ aayā
ek tu jo safar par se palaT kar nahin aaya
phir main bhi kabhi sham Dhale ghar nahin aaya
muddat hui ek shaKHs ko ruThe hue mujh se
muddat hui is chhat pe kabutar nahin aaya
masjid ko sabhi jate hain ehsan jata kar
maiKHane mein koi bhi bata kar nahin aaya
koshish to bahut ki ki tera nam na aae
mazmun tere zikr se bahar nahin aaya
ehsan hain ahbab ke hum par ye wagarna
dushman ki taraf se koi patthar nahin aaya
haq walon ka shewa hai ki aa jate hain warna
maqtal mein koi KHud se to chal kar nahin aaya
waise to sabhi aap ki nazron se mare hain
ilzam kabhi aap ke sar par nahin aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.