ek wada tha so kuchh pal ko Thahar aaya tha
ek vā'da thā so kuchh pal ko Thahar aayā thā
varna kūche se maiñ ḳhāmosh guzar aayā thā
maiñ ne jis dukh ko zamāne se chhupā rakkhā thā
jaane kab vo mire lahje meñ utar aayā thā
ġham se labrez thā maiñ aur na thī ek shikan
mujh meñ barsoñ meñ kahīñ aisā hunar aayā thā
tum ne dekhā hī nahīñ us kī bujhī āñkhoñ meñ
baat karte hue ik dard utar aayā thā
raat phir ḳhvāb kī tā'bīr samajhte guzrī
vo jo ik ḳhvāb mujhe pichhle pahar aayā thā
jiine lagte the sabhī dekh ke jis chehre ko
aur maiñ thā ki usī chehre pe mar aayā thā
ek wa'da tha so kuchh pal ko Thahar aaya tha
warna kuche se main KHamosh guzar aaya tha
main ne jis dukh ko zamane se chhupa rakkha tha
jaane kab wo mere lahje mein utar aaya tha
gham se labrez tha main aur na thi ek shikan
mujh mein barson mein kahin aisa hunar aaya tha
tum ne dekha hi nahin us ki bujhi aankhon mein
baat karte hue ek dard utar aaya tha
raat phir KHwab ki ta'bir samajhte guzri
wo jo ek KHwab mujhe pichhle pahar aaya tha
jine lagte the sabhi dekh ke jis chehre ko
aur main tha ki usi chehre pe mar aaya tha
- Book : Aavaazon Ka Raushandaan (Pg. 62)
- Author : Kuldeep Kumar
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.