faeda ye to hua nam tumhaara le kar
fā.eda ye to huā naam tumhārā le kar
chal paḌī saañs mirī jism kā bhārā le kar
vaqt-be-vaqt baḌī duur chalā jaatā huuñ
chand TuuTe hue ḳhvāboñ kā sahārā le kar
zindagī sach meñ tū jaadū hai to itnā kar de
lauT ke aa mire bachpan ko dubāra le kar
bārhā shukriya kahtā huuñ maiñ us ko jis ne
mujh ko nākām kiyā merā sahārā le kar
terī ḳhvāhish hai agar ye to hichaktā kyoñ hai
ai mire dost tū jā saarā kā saarā le kar
kahīñ aise bhī koī jashn manātā hai miyāñ
aa ga.e saath nayā hijr kā maarā le kar
laash kā TukḌā thā dāman meñ are maañ thī vo
jā-ba-jā phirtī rahī apnā dulārā le kar
ab mire dil meñ bahut dard bharā rahtā hai
tum chale aao mohabbat ko ḳhudārā le kar
faeda ye to hua nam tumhaara le kar
chal paDi sans meri jism ka bhaara le kar
waqt-be-waqt baDi dur chala jata hun
chand TuTe hue KHwabon ka sahaara le kar
zindagi sach mein tu jadu hai to itna kar de
lauT ke aa mere bachpan ko dubara le kar
barha shukriya kahta hun main us ko jis ne
mujh ko nakaam kiya mera sahaara le kar
teri KHwahish hai agar ye to hichakta kyon hai
ai mere dost tu ja sara ka sara le kar
kahin aise bhi koi jashn manata hai miyan
aa gae sath naya hijr ka mara le kar
lash ka TukDa tha daman mein are man thi wo
ja-ba-ja phirti rahi apna dulara le kar
ab mere dil mein bahut dard bhara rahta hai
tum chale aao mohabbat ko KHudara le kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.