Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

fani kahan hai hasti-e-fani ka shor bhi

Rafiq Raaz

fani kahan hai hasti-e-fani ka shor bhi

Rafiq Raaz

MORE BYRafiq Raaz

    faanī kahāñ hai hasti-e-fānī shor bhī

    shāmil hai is meñ naql-e-makānī shor bhī

    hassās huuñ aur is pe vo shiddat pyaas hai

    suntā huuñ ab sarāb meñ paanī shor bhī

    aisā sukūt thā ki sunā.ī diyā mujhe

    harf-e-tahī meñ mauj-e-ma.ānī shor bhī

    be-barg-o-bār peḌ se rahte haiñ duur duur

    rah-gīr bhī havā-e-ḳhizānī shor bhī

    ḳhākistar-e-badan meñ sulagtī hai koī chiiz

    bujhtā nahīñ abhī ye javānī shor bhī

    terī ġhazal paḌhī to ye jaanā 'rafīq'-rāz

    paanī ke shor meñ hai ravānī shor bhī

    fani kahan hai hasti-e-fani ka shor bhi

    shamil hai is mein naql-e-makani ka shor bhi

    hassas hun aur is pe wo shiddat ki pyas hai

    sunta hun ab sarab mein pani ka shor bhi

    aisa sukut tha ki sunai diya mujhe

    harf-e-tahi mein mauj-e-maani ka shor bhi

    be-barg-o-bar peD se rahte hain dur dur

    rah-gir bhi hawa-e-KHizani ka shor bhi

    KHakistar-e-badan mein sulagti hai koi chiz

    bujhta nahin abhi ye jawani ka shor bhi

    teri ghazal paDhi to ye jaana 'rafiq'-raaz

    pani ke shor mein hai rawani ka shor bhi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now