falak pe jati hui mahtabi rah gai hai
falak pe jaatī huī māhtābī rah ga.ī hai
hamārī ḳhaak meñ koī ḳharābī rah ga.ī hai
bas ab ke us kī nigāh-e-digar pe faisla hai
maiñ gum to ho chukā huuñ bāzyābī rah ga.ī hai
chamak gayā thā kabhī band-e-pairahan us kā
badan se lipTī huī be-hijābī rah ga.ī hai
ġhubār-e-shab ke udhar kuchh na kuchh to hai raushan
maiñ jāgtā huuñ zarā nīm-ḳhvābī rah ga.ī hai
sameTnā hī to hai sāz-o-barg-e-ḳhāna-e-dil
is ek kaam meñ ab kyā shitābī rah ga.ī hai
falak pe jati hui mahtabi rah gai hai
hamari KHak mein koi KHarabi rah gai hai
bas ab ke us ki nigah-e-digar pe faisla hai
main gum to ho chuka hun bazyabi rah gai hai
chamak gaya tha kabhi band-e-pairahan us ka
badan se lipTi hui be-hijabi rah gai hai
ghubar-e-shab ke udhar kuchh na kuchh to hai raushan
main jagta hun zara nim-KHwabi rah gai hai
sameTna hi to hai saz-o-barg-e-KHana-e-dil
is ek kaam mein ab kya shitabi rah gai hai
- Book : Hoshiyari Dil-e-Nadan Bahut Karta Hai (Pg. 101)
- Author :Irfan Siddiqi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.