Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

falak se chand taron ko utarta dekhta hun main

Naved Anjum

falak se chand taron ko utarta dekhta hun main

Naved Anjum

MORE BYNaved Anjum

    falak se chāñd tāroñ ko utartā dekhtā huuñ maiñ

    hamesha jāgtī āñkhoñ se sapnā dekhtā huuñ maiñ

    mujhe ma.alūm hai ġhurbat abhī banñe nahīñ degī

    banā kar roz lekin ghar naqsha dekhtā huuñ maiñ

    hamārī be-ma.āshī ne hameñ ye din dikhā.e haiñ

    javāñ chehroñ pe bhī aksar buḌhāpā dekhtā huuñ maiñ

    mujhe mil jaa.eñ shāyad kuchh mire bichhḌe hue sāthī

    isī ummīd pe duniyā mela dekhtā huuñ maiñ

    mile koī bhalā kyoñ mujh se 'anjum' aa.ina le kar

    hamesha dūsroñ ko ḳhud se achchhā dekhtā huuñ maiñ

    falak se chand taron ko utarta dekhta hun main

    hamesha jagti aankhon se sapna dekhta hun main

    mujhe malum hai ghurbat abhi banne nahin degi

    bana kar roz lekin ghar ka naqsha dekhta hun main

    hamari be-maashi ne hamein ye din dikhae hain

    jawan chehron pe bhi aksar buDhapa dekhta hun main

    mujhe mil jaen shayad kuchh mere bichhDe hue sathi

    isi ummid pe duniya ka mela dekhta hun main

    mile koi bhala kyon mujh se 'anjum' aaina le kar

    hamesha dusron ko KHud se achchha dekhta hun main

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now