falak zara sa hai is mein zamin ziyaada hai
falak zarā sā hai is meñ zamīñ ziyāda hai
mirī ġhazal meñ gumāñ kam yaqīñ ziyāda hai
ziyādtī kī 'ajab sūrateñ rakhī hai yahāñ
kahīñ to kuchh bhī nahīñ aur kahīñ ziyāda hai
ab aise hī to nahīñ ḳhvār āstān-e-vajūd
ḳhulūs kam hai du'ā meñ jabīñ ziyāda hai
ḳhudā hī jāntā hai kaun hai kahāñ kitnā
magar hamāre liye tū yahīñ ziyāda hai
supurdagī kī ye hālat batā rahī hai mujhe
ki tere milne meñ haañ kam nahīñ ziyāda hai
falak zara sa hai is mein zamin ziyaada hai
meri ghazal mein guman kam yaqin ziyaada hai
ziyaadti ki 'ajab suraten rakhi hai yahan
kahin to kuchh bhi nahin aur kahin ziyaada hai
ab aise hi to nahin KHwar aastan-e-wajud
KHulus kam hai du'a mein jabin ziyaada hai
KHuda hi jaanta hai kaun hai kahan kitna
magar hamare liye tu yahin ziyaada hai
supurdagi ki ye haalat bata rahi hai mujhe
ki tere milne mein han kam nahin ziyaada hai
- Book : Maujood Ki Nisbat Se (Pg. 63)
- Author : Mahendra Kumar Sani
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.