fan ye hoshiyari ka kab mujhe sikhaega
fan ye hoshiyārī kā kab mujhe sikhā.egā
dhoka khā rahā huuñ maiñ denā kab se aa.egā
achchhe log nikleñge jab shikār karne ko
kaun in parindoñ ko daana phir khilā.egā
ab ye us kī marzī hai chāhe jo banā de vo
dekhnā hai miTTī ko ab vo kyā banā.egā
mujh ko sab girāne meñ nīche gir ga.e itnā
ḳhāksār ko koī kitnā ab girā.egā
ik faqīr rotā thā is liye ki mere baa'd
kaun jaane vāloñ ko rāsta dikhā.egā
chaar din raheñge bas āñkhoñ meñ tirī aañsū
koī jaane kā mātam kab talak manā.egā
fan ye hoshiyari ka kab mujhe sikhaega
dhoka kha raha hun main dena kab se aaega
achchhe log niklenge jab shikar karne ko
kaun in parindon ko dana phir khilaega
ab ye us ki marzi hai chahe jo bana de wo
dekhna hai miTTi ko ab wo kya banaega
mujh ko sab girane mein niche gir gae itna
KHaksar ko koi kitna ab giraega
ek faqir rota tha is liye ki mere ba'd
kaun jaane walon ko rasta dikhaega
chaar din rahenge bas aankhon mein teri aansu
koi jaane ka matam kab talak manaega
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.