faraghaton ko bhi masruf-e-kar laya hun
farāġhatoñ ko bhī masrūf-e-kār laayā huuñ
bahār aa.ī nahīñ hai bahār laayā huuñ
mujhe yaqīñ hai ḳhizāñ haath mal rahī hogī
vo phuul shāḳh-e-saman se utaar laayā huuñ
ḳhabar bhī hai tujhe ai ḳhvāb dekhne vaalī
maiñ tere vāste kyā kuchh udhār laayā huuñ
ḳhudā kare na koī in meñ nāma-bar nikle
ki jo parinde maiñ karke shikār laayā huuñ
mire 'azīz zamāna rukā huā hai jahāñ
maiñ us jagah se bhī ḳhud ko guzār laayā huuñ
kuchh itnī sahl na thī dasht-e-jāñ kī ārā.ish
kahāñ kahāñ se uThā kar maiñ ḳhaar laayā huuñ
maiñ kyā karūñ mujhe chehra na mil sakā koī
so aa.ine ke muqābil ġhubār laayā huuñ
faraghaton ko bhi masruf-e-kar laya hun
bahaar aai nahin hai bahaar laya hun
mujhe yaqin hai KHizan hath mal rahi hogi
wo phul shaKH-e-saman se utar laya hun
KHabar bhi hai tujhe ai KHwab dekhne wali
main tere waste kya kuchh udhaar laya hun
KHuda kare na koi in mein nama-bar nikle
ki jo parinde main karke shikar laya hun
mere 'aziz zamana ruka hua hai jahan
main us jagah se bhi KHud ko guzar laya hun
kuchh itni sahl na thi dasht-e-jaan ki aaraish
kahan kahan se uTha kar main KHar laya hun
main kya karun mujhe chehra na mil saka koi
so aaine ke muqabil ghubar laya hun
- Book : Ek Shaam Tumhare Hisse Ki (Pg. 62)
- Author : Kashif Husain Ghair
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.