fareb dene se achchha tha kha liya hota
fareb dene se achchhā thā khā liyā hotā
zamīr kam se kam apnā bachā liyā hotā
ye aur baat ki rusvā.iyoñ se bach jaatā
maiñ mar na jaatā agar sach chhupā liyā hotā
tujhe batātā mohabbat maiñ kaise kartā huuñ
jo tū ne mujh ko gale se lagā liyā hotā
maiñ pī rahā thā isī intizār meñ kab se
kisī ne aa ke piyāla chhuḌā liyā hotā
yaqīn māniye nafrat jahāñ se miT jaatī
yahāñ sabhī ne agar dil lagā liyā hotā
fareb dene se achchha tha kha liya hota
zamir kam se kam apna bacha liya hota
ye aur baat ki ruswaiyon se bach jata
main mar na jata agar sach chhupa liya hota
tujhe batata mohabbat main kaise karta hun
jo tu ne mujh ko gale se laga liya hota
main pi raha tha isi intizar mein kab se
kisi ne aa ke piyala chhuDa liya hota
yaqin maniye nafrat jahan se miT jati
yahan sabhi ne agar dil laga liya hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.