Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

fareb shab ka giraftar rahun bachao mujhe

Mahir Abdul Hayee

fareb shab ka giraftar rahun bachao mujhe

Mahir Abdul Hayee

MORE BYMahir Abdul Hayee

    fareb shab giraftār rahūñ bachāo mujhe

    jalā ke sham.a koī rāsta dikhāo mujhe

    zabān-e-hāl se kahtī hai yaad maazī

    tumhārī raah dīvār huuñ girāo mujhe

    kahāñ huuñ dasht-e-talab meñ mujhe patā to chale

    mirā bhī naam pukāro koī bulāo mujhe

    maiñ nam zamīn paudā huuñ suukh jā.ūñgā

    sulagtī dhuup ke sahrā meñ mat lagāo mujhe

    koī mata-e-hunar dast-e-be-hunar ke liye

    kahāniyāñ na karāmāt sunāo mujhe

    biThā ke nīche ghaTāte ho kyuuñ mujhe har baar

    bhale ko apne kabhī dāhine biThāo mujhe

    mire sulūk sūrat badal nahīñ saktī

    hazār zulm-o-sitam kar ke āzmāo mujhe

    ye be-ruḳhī ye taġhāful kahāñ talak pyāre

    tumhāre kaam ā.ūñgā mat gañvāo mujhe

    nigal na jaa.e kahīñ mujh ko dasht-e-ḳhāmoshī

    akelā chhoḌ ke jaao na ai sadāo mujhe

    mujhe bhī shauq hai paḌhne ye kitāb-e-ġhazal

    kahīñ se muft meñ haath aa.e to batāo mujhe

    fareb shab ka giraftar rahun bachao mujhe

    jala ke shama koi rasta dikhao mujhe

    zaban-e-haal se kahti hai yaad mazi ki

    tumhaari rah ki diwar hun girao mujhe

    kahan hun dasht-e-talab mein mujhe pata to chale

    mera bhi nam pukaro koi bulao mujhe

    main nam zamin ka pauda hun sukh jaunga

    sulagti dhup ke sahra mein mat lagao mujhe

    koi mata-e-hunar dast-e-be-hunar ke liye

    kahaniyan na karamat ki sunao mujhe

    biTha ke niche ghaTate ho kyun mujhe har bar

    bhale ko apne kabhi dahine biThao mujhe

    mere suluk ki surat badal nahin sakti

    hazar zulm-o-sitam kar ke aazmao mujhe

    ye be-ruKHi ye taghaful kahan talak pyare

    tumhaare kaam hi aaunga mat ganwao mujhe

    nigal na jae kahin mujh ko dasht-e-KHamoshi

    akela chhoD ke jao na ai sadao mujhe

    mujhe bhi shauq hai paDhne ka ye kitab-e-ghazal

    kahin se muft mein hath aae to batao mujhe

    Source:

    Hari Sonahri Khak (Ghazal) (Pg. 69)

    • Author: Mahir Abdul Hayee
      • Edition: 2008
      • Publisher: Bazme-e-Urdu,Mau
      • Year of Publication: 2008
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now