fath ki mana ki saughat nahin aaegi
fat.h kī maanā ki sauġhāt nahīñ aa.egī
mere hisse meñ magar maat nahīñ aa.egī
tum mire paas dubāra bhī chale aa.e to kyā
tum meñ jo pahle thī vo baat nahīñ aa.egī
aaj jī bhar ke tujhe dekh luuñ maiñ jāntā huuñ
lauT kar phir ye kabhī raat nahīñ aa.egī
tū ne to kah diyā bas dil se nikal jaao mire
kyā tirī yaad mire saath nahīñ aa.egī
dil kī vīrān paḌī dasht-numā dhartī par
ab kabhī 'ishq kī barsāt nahīñ aa.egī
bad-nasībī kī bhī majbūriyāñ samjho 'āqib'
tum se milne to vo din raat nahīñ aa.egī
fath ki mana ki saughat nahin aaegi
mere hisse mein magar mat nahin aaegi
tum mere pas dubara bhi chale aae to kya
tum mein jo pahle thi wo baat nahin aaegi
aaj ji bhar ke tujhe dekh lun main jaanta hun
lauT kar phir ye kabhi raat nahin aaegi
tu ne to kah diya bas dil se nikal jao mere
kya teri yaad mere sath nahin aaegi
dil ki viran paDi dasht-numa dharti par
ab kabhi 'ishq ki barsat nahin aaegi
bad-nasibi ki bhi majburiyan samjho 'aqib'
tum se milne to wo din raat nahin aaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.