faza mein surmai chadar tani hai sham hui
fazā meñ surma.ī chādar tanī hai shaam huī
tire ḳhayāl kī raftār tez-gām huī
ḳhatīb-e-shahr kī taqrīr zahr-afshāñ thī
fazā meñ zahr ghulā zindagī harām huī
bajā hai der se tadbīr kī magar kaisī
qadam qadam pe jo taqdīr kī imaam huī
buland hone lagā hai sitāra-e-taqdīr
junūn-e-shauq meñ tadbīr be-lagām huī
ḳhirad kā ḳhabt kabhī to kabhī junūn kā shauq
baḌe jatan jo kiye zindagī ye raam huī
huā thā jis pe tumheñ kal gumān-e-badnāmī
ḳhatā vahī to mirī vaj.h-e-ehtirām huī
ba-juz tumhāre koī rāz-dāñ na thā 'ash.har'
jo ḳhaas baat thī phir kis tarah vo 'aam huī
faza mein surmai chadar tani hai sham hui
tere KHayal ki raftar tez-gam hui
KHatib-e-shahr ki taqrir zahr-afshan thi
faza mein zahr ghula zindagi haram hui
baja hai der se tadbir ki magar kaisi
qadam qadam pe jo taqdir ki imam hui
buland hone laga hai sitara-e-taqdir
junun-e-shauq mein tadbir be-lagam hui
KHirad ka KHabt kabhi to kabhi junun ka shauq
baDe jatan jo kiye zindagi ye ram hui
hua tha jis pe tumhein kal guman-e-badnami
KHata wahi to meri wajh-e-ehtiram hui
ba-juz tumhaare koi raaz-dan na tha 'ashhar'
jo KHas baat thi phir kis tarah wo 'am hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.