fikr-e-gham-e-jahan se ghafil hua hun main
fikr-e-gham-e-jahan se ghafil hua hun main
Prateek Kharbanda Ramz
MORE BYPrateek Kharbanda Ramz
fikr-e-ġham-e-jahān se ġhāfil huā huuñ maiñ
yā'nī kahīñ du'āoñ meñ shāmil rahā huuñ maiñ
andar se jāntā huuñ maiñ andar ke shaḳhs ko
kyā soch ke phir us ke muqābil khaḌā huuñ maiñ
us bevafā ke be meñ se ye ko alif kiyā
mehnat ke baa'd 'ishq ke qābil banā huuñ maiñ
dīvāngī hai shart to rahne ko dasht meñ
majnūñ ke bhes meñ vahāñ dāḳhil huā huuñ maiñ
ḳhvāboñ kā qatl kar diyā āñkheñ bhī phoḌ liiñ
qātil kabhī rahā kabhī bismil rahā huuñ maiñ
dillī 'ajīb shahr hai dil vāloñ kā janāb
dil vāloñ ke bhī shahr meñ be-dil rahā huuñ maiñ
har chand haq ke saath khaḌā 'ramz' thā magar
tārīḳh likhne vāloñ ko bātil lagā huuñ maiñ
fikr-e-gham-e-jahan se ghafil hua hun main
ya'ni kahin du'aon mein shamil raha hun main
andar se jaanta hun main andar ke shaKHs ko
kya soch ke phir us ke muqabil khaDa hun main
us bewafa ke be mein se ye ko alif kiya
mehnat ke ba'd 'ishq ke qabil bana hun main
diwangi hai shart to rahne ko dasht mein
majnun ke bhes mein wahan daKHil hua hun main
KHwabon ka qatl kar diya aankhen bhi phoD lin
qatil kabhi raha kabhi bismil raha hun main
dilli 'ajib shahr hai dil walon ka janab
dil walon ke bhi shahr mein be-dil raha hun main
har chand haq ke sath khaDa 'ramz' tha magar
tariKH likhne walon ko baatil laga hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.