fikr kar ta’mir-e-dil ki wo yahin aa jaega
fikr kar tā’mīr-e-dil kī vo yahīñ aa jā.egā
ban gayā jis din makāñ ḳhud hī makīñ aa jā.egā
ḳhud bhī vo chālāk hai lekin agar himmat karo
pahlā pahlā jhūTh hai us ko yaqīñ aa jā.egā
kaun sā ham roz roz us ko bulāte haiñ yahāñ
be-muravvat hai magar itnā nahīñ aa jā.egā
ham se mil lene kā matlab ye nahīñ hogā ki ab
har koī us ko bulā le har kahīñ aa jā.egā
zaḳhm-e-dil to saat pardoñ meñ chhupā hogā kahīñ
aur sab ke sāmne dāġh-e-jabīñ aa jā.egā
ham to samjhe the ki is lashkar-kashī se husn kā
kuchh 'ilāqa aur bhī zer-e-nagīñ aa jā.egā
ab to jaise ḳhud bhī aana chāhtā hai vo 'zafar'
ghar galī hotel jahāñ chāho vahīñ aa jā.egā
fikr kar ta’mir-e-dil ki wo yahin aa jaega
ban gaya jis din makan KHud hi makin aa jaega
KHud bhi wo chaalak hai lekin agar himmat karo
pahla pahla jhuTh hai us ko yaqin aa jaega
kaun sa hum roz roz us ko bulate hain yahan
be-murawwat hai magar itna nahin aa jaega
hum se mil lene ka matlab ye nahin hoga ki ab
har koi us ko bula le har kahin aa jaega
zaKHm-e-dil to sat pardon mein chhupa hoga kahin
aur sab ke samne dagh-e-jabin aa jaega
hum to samjhe the ki is lashkar-kashi se husn ka
kuchh 'ilaqa aur bhi zer-e-nagin aa jaega
ab to jaise KHud bhi aana chahta hai wo 'zafar'
ghar gali hotel jahan chaho wahin aa jaega
- Book : Ghazal Ka Shor (Pg. 80)
- Author : Zafar Iqbal
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.