Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

firaq mein dam ulajh raha hai KHayal-e-gesu mein jaankani hai

Habeeb Moosavi

firaq mein dam ulajh raha hai KHayal-e-gesu mein jaankani hai

Habeeb Moosavi

MORE BYHabeeb Moosavi

    firāq meñ dam ulajh rahā hai ḳhayāl-e-gesū meñ jāñkanī hai

    tanāb-e-jallād tarah se rag-e-gulū āj-kal tanī hai

    nahīñ hai parvā-e-māl-o-daulat safā-e-bātin se dil ġhanī hai

    gadā haiñ hājat-ravā-e-sultāñ ye kīmiyā-e-farotanī hai

    jigar meñ haiñ dāġh-e-mahr-o-ulfat shigāf-e-pahlū hai jeb-e-mashriq

    shab-e-lahad hai ki sub.h-e-mahshar ye kis qayāmat raushnī hai

    fazā.el-e-ittihād-e-millat jahāñ meñ vaj.h-e-muḳhālifat haiñ

    muaaf rakhiye shaiḳh sāhab ye rahbarī hai ki rahzanī hai

    ġharaz na rakkhe mai-e-jahāñ se to ham bhī qaa.il hoñ tere vaa.iz

    kamāl kyā jab ummīd-e-fardā illat-e-pāk-dāmanī hai

    hameñ na raas aayā dil lagānā ġhazab huā phir gayā zamāna

    koī to kahtā hai qaid kar do koī ye kahtā hai kushtanī hai

    raqīb ko paas gar biThāyā to mujh se hargiz na zabt hogā

    miTā duuñ ek din ye jhagḌā bas ab to dil meñ yahī Thanī hai

    koī kisī se na dil lagā.e na sar pe koh-e-alam uThā.e

    nahīñ bharosa ḳhudā bachā.e ki ishq meñ jaan par banī hai

    khapī hai dil meñ hañsī tumhārī firāq meñ kauñdtī hai bijlī

    raheñ na kyuuñ ashk-e-surḳh jaarī jigar meñ almās kanī hai

    kabhī to aa mere rashk-e-īsā huī hai muzmin tap-e-judā.ī

    nahīñ shifā ummīd baaqī numūd chehre se murdanī hai

    huā ye lāġhar asiir terā ki sab ko hai naqsh-e-pā dhokā

    gale meñ jo tauq thā pahnāyā vo ab use hisn-e-āhanī hai

    na teġh-e-qātil kyuuñ ho shohrā kiyā hai jo rañg-e-jism aisā

    diye jo Tāñke to hai ye dhokā badan malbūs sozanī hai

    zamīn par girte girte ham ko sunā gayā kāsa-e-sifālīñ

    huā jahāñ daur-e-umr-e-āḳhir ye sāz-e-hastī shikastnī hai

    jigar meñ barsoñ khaTak rahegī phuñkeñge pahlū chamak rahegī

    ḳhayāl-e-mizhgān-e-yār-e-jānī sinān-e-dil-doz anī hai

    azal se rindoñ ko mai aadat hai aur vaa.iz sarzanish

    taḳhāluf-e-vaz.a se hai jhagḌā na dostī hai na dushmanī hai

    'habīb' piirī meñ haiñ rañgīlī vo sabza rañgoñ par haiñ marte

    hue haiñ do din pata nahīñ hai kisī se gahrī kahīñ chhanī hai

    firaq mein dam ulajh raha hai KHayal-e-gesu mein jaankani hai

    tanab-e-jallad ki tarah se rag-e-gulu aaj-kal tani hai

    nahin hai parwa-e-mal-o-daulat safa-e-baatin se dil ghani hai

    gada hain hajat-rawa-e-sultan ye kimiya-e-farotani hai

    jigar mein hain dagh-e-mahr-o-ulfat shigaf-e-pahlu hai jeb-e-mashriq

    shab-e-lahad hai ki subh-e-mahshar ye kis qayamat ki raushni hai

    fazael-e-ittihad-e-millat jahan mein wajh-e-muKHalifat hain

    muaf hi rakhiye shaiKH sahab ye rahbari hai ki rahzani hai

    gharaz na rakkhe mai-e-jahan se to hum bhi qail hon tere waiz

    kamal kya jab ummid-e-farda hi illat-e-pak-damani hai

    hamein na ras aaya dil lagana ghazab hua phir gaya zamana

    koi to kahta hai qaid kar do koi ye kahta hai kushtani hai

    raqib ko pas gar biThaya to mujh se hargiz na zabt hoga

    miTa hi dun ek din ye jhagDa bas ab to dil mein yahi Thani hai

    koi kisi se na dil lagae na sar pe koh-e-alam uThae

    nahin bharosa KHuda bachae ki ishq mein jaan par bani hai

    khapi hai dil mein hansi tumhaari firaq mein kaundti hai bijli

    rahen na kyun ashk-e-surKH jari jigar mein almas ki kani hai

    kabhi to aa mere rashk-e-isa hui hai muzmin tap-e-judai

    nahin shifa ki ummid baqi numud chehre se murdani hai

    hua ye laghar asir tera ki sab ko hai naqsh-e-pa ka dhoka

    gale mein jo tauq tha pahnaya wo ab use hisn-e-ahani hai

    na tegh-e-qatil ka kyun ho shohra kiya hai jo rang-e-jism aisa

    diye jo Tanke to hai ye dhoka badan ka malbus sozani hai

    zamin par girte girte hum ko suna gaya kasa-e-sifalin

    hua jahan daur-e-umr-e-aKHir ye saz-e-hasti shikastni hai

    jigar mein barson khaTak rahegi phunkenge pahlu chamak rahegi

    KHayal-e-mizhgan-e-yar-e-jaani sinan-e-dil-doz ki ani hai

    azal se rindon ko mai ki aadat hai aur waiz ki sarzanish ki

    taKHaluf-e-waza se hai jhagDa na dosti hai na dushmani hai

    'habib' piri mein hain rangili wo sabza rangon hi par hain marte

    hue hain do din pata nahin hai kisi se gahri kahin chhani hai

    Source:

    Deewan-e-habeeb (Pg. ebook-284 page-269)

    • Author: Habeeb Moosavi
      • Publisher: Ufuq Matba Shamshi, Hydrabad
      • Year of Publication: 1900
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now