fishaar-e-saut-o-sada hain gham-e-musalsal hain

fishaar-e-saut-o-sada hain gham-e-musalsal hain
Shahid Ahmad Shoaib
MORE BYShahid Ahmad Shoaib
fishār-e-saut-o-sadā haiñ ġham-e-musalsal haiñ
ajab sā shor haiñ ham ik ajiib halchal haiñ
hamāre sāmne ik khaultā samundar hai
utar rahe haiñ jo is meñ ajiib pāgal haiñ
ḳhud apnā aap hī qātil haiñ log ḳhud hī qatīl
har ek moḌ pe kaise ajiib maqtal haiñ
milā na baḳht-e-siyah ko jamāl-e-ḳhurshīdī
jo raushnī ke the darvāze sab muqaffal haiñ
mile kahīñ koī saaya to ham bhī so jaa.eñ
'sho.aib' sadiyoñ se āñkheñ hamārī bojhal haiñ
fishaar-e-saut-o-sada hain gham-e-musalsal hain
ajab sa shor hain hum ek ajib halchal hain
hamare samne ek khaulta samundar hai
utar rahe hain jo is mein ajib pagal hain
KHud apna aap hi qatil hain log KHud hi qatil
har ek moD pe kaise ajib maqtal hain
mila na baKHt-e-siyah ko jamal-e-KHurshidi
jo raushni ke the darwaze sab muqaffal hain
mile kahin koi saya to hum bhi so jaen
'shoaib' sadiyon se aankhen hamari bojhal hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.