gahe-gahe main tujhe yaad bhi kar sakta hun
gāhe-gāhe maiñ tujhe yaad bhī kar saktā huuñ
ek dil hai use barbād bhī kar saktā huuñ
‘ālam-e-ḳhvāb meñ hai tujh se mulāqāt kī shaam
tū nahīñ to tujhe ījād bhī kar saktā huuñ
hai bahut saḳht tirī zulf kī zanjīr magar
ek din ḳhud ko maiñ āzād bhī kar saktā huuñ
ḳhāmushī toḌ rahā huuñ abhī andar andar
apne bāhar ise faulād bhī kar saktā huuñ
ek din dekhnā sahrāoñ se aate jaate
maiñ tire shahr ko ham-zād bhī kar saktā huuñ
gahe-gahe main tujhe yaad bhi kar sakta hun
ek dil hai use barbaad bhi kar sakta hun
‘alam-e-KHwab mein hai tujh se mulaqat ki sham
tu nahin to tujhe ijad bhi kar sakta hun
hai bahut saKHt teri zulf ki zanjir magar
ek din KHud ko main aazad bhi kar sakta hun
KHamushi toD raha hun abhi andar andar
apne bahar ise faulad bhi kar sakta hun
ek din dekhna sahraon se aate jate
main tere shahr ko ham-zad bhi kar sakta hun
- Book : Sabhi Rang Tumhare Nikle (Pg. 107)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2017)
- Edition : First
- Book : Wahima Vajood Ka (Pg. 105)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.