ganw ke ek chhoTe se ghar mein kuchh lamhe mahtab raha
gaañv ke ik chhoTe se ghar meñ kuchh lamhe mahtāb rahā
lekin us kī yaad kā paudā barsoñ tak shādāb rahā
ai mire haal kī dushman yaado kyā us ko taskīn milī
maazī meñ jo shaḳhs harīf-e-taskīn-e-ā'sāb rahā
apnī saarī gum-shuda bheḌeñ jam' to kiiñ charvāhe ne
un bheḌoñ ke pīchhe pīchhe puure din betāb rahā
fasl-e-ḳhizāñ kī shāḳh se lipTā bele kā ik tanhā phuul
kuchh kaliyoñ kī yaad sameTe rātoñ ko be-ḳhvāb rahā
bichhḌe the to sākit palkeñ sūkhe peḌ kī shāḳheñ thiiñ
us se bichhaḌ kar duur chale to kosoñ tak sailāb rahā
pichhlī raat ke pyāse lamhe jin galiyoñ meñ biit ga.e
un galiyoñ ko chhoḌ ke puure shahr meñ qaht-e-āb rahā
jism ne apnī 'umr guzārī sindh ke registānoñ meñ
dil kam-baḳht baḌā ziddī thā āḳhir tak panjāb rahā
us kī fitrat jānñe vaale tark-e-adab se jiit ga.e
kitnā tang-nazar thā 'tālib' pāband-e-ādāb rahā
ganw ke ek chhoTe se ghar mein kuchh lamhe mahtab raha
lekin us ki yaad ka pauda barson tak shadab raha
ai mere haal ki dushman yaado kya us ko taskin mili
mazi mein jo shaKHs harif-e-taskin-e-a'sab raha
apni sari gum-shuda bheDen jam' to kin charwahe ne
un bheDon ke pichhe pichhe pure din betab raha
fasl-e-KHizan ki shaKH se lipTa bele ka ek tanha phul
kuchh kaliyon ki yaad sameTe raaton ko be-KHwab raha
bichhDe the to sakit palken sukhe peD ki shaKHen thin
us se bichhaD kar dur chale to koson tak sailab raha
pichhli raat ke pyase lamhe jin galiyon mein bit gae
un galiyon ko chhoD ke pure shahr mein qaht-e-ab raha
jism ne apni 'umr guzari sindh ke registanon mein
dil kam-baKHt baDa ziddi tha aaKHir tak panjab raha
us ki fitrat jaanne wale tark-e-adab se jit gae
kitna tang-nazar tha 'talib' paband-e-adab raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.