gae mausam ka Dar bandhe hue hai
ga.e mausam kā Dar bāñdhe hue hai
parinda ab bhī par bāñdhe hue hai
bulātī haiñ chamaktī shāhrāheñ
magar kachchī Dagar bāñdhe hue hai
bikhar jaatā kabhī kā maiñ ḳhalā meñ
du'āoñ kā asar bāñdhe hue hai
haqīqat kā pata kaise chalegā
nazāra hī nazar bāñdhe hue hai
chalā jā.ūñ junūñ ke jangaloñ meñ
ye rishtoñ kā nagar bāñdhe hue hai
nibhā.e kis tarah sāhil se vā'da
safīne ko bhañvar bāñdhe hue hai
ga.e lamhoñ kī ik zanjīr yā-rab
mire shām-o-sahar bāñdhe hue hai
gae mausam ka Dar bandhe hue hai
parinda ab bhi par bandhe hue hai
bulati hain chamakti shahrahen
magar kachchi Dagar bandhe hue hai
bikhar jata kabhi ka main KHala mein
du'aon ka asar bandhe hue hai
haqiqat ka pata kaise chalega
nazara hi nazar bandhe hue hai
chala jaun junun ke jangalon mein
ye rishton ka nagar bandhe hue hai
nibhae kis tarah sahil se wa'da
safine ko bhanwar bandhe hue hai
gae lamhon ki ek zanjir ya-rab
mere sham-o-sahar bandhe hue hai
- Book : Raushni Jaari Karo (Pg. 32)
- Author : Manish Shukla
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.