ghaib maujud hai manzar mein ayan hone tak
ġhaib maujūd hai manzar meñ 'ayāñ hone tak
ye haqīqat bhī haqīqat hai gumāñ hone tak
ab samajh aa.e mohabbat ke taqāze tujh ko
der kī tū ne javānī meñ javāñ hone tak
daaġh muddat meñ banā terā lagāyā huā zaḳhm
vaqt lagtā hai nishānī ko nishāñ hone tak
vaqt se pahle 'ibādat pe nahīñ hai bandish
ḳhair ḳhairāt kiye jaao azaañ hone tak
chashm-e-bedār ye samjhā.eñ tujhe ham kaise
niiñd jhelī hai bahut ḳhvāb 'ayāñ hone tak
sabr ke saḳht marāhil se guzāra gayā zabt
chup kī tahvīl meñ thī aah fuġhāñ hone tak
baiTh ārām se 'āsim' ki savārī kuchh der
sust chaltī hai ravānī se ravāñ hone tak
ghaib maujud hai manzar mein 'ayan hone tak
ye haqiqat bhi haqiqat hai guman hone tak
ab samajh aae mohabbat ke taqaze tujh ko
der ki tu ne jawani mein jawan hone tak
dagh muddat mein bana tera lagaya hua zaKHm
waqt lagta hai nishani ko nishan hone tak
waqt se pahle 'ibaadat pe nahin hai bandish
KHair KHairaat kiye jao azan hone tak
chashm-e-bedar ye samjhaen tujhe hum kaise
nind jheli hai bahut KHwab 'ayan hone tak
sabr ke saKHt marahil se guzara gaya zabt
chup ki tahwil mein thi aah fughan hone tak
baiTh aaram se 'asim' ki sawari kuchh der
sust chalti hai rawani se rawan hone tak
- Book : Lafz Mehfooz Kar Liye Jaayen (Pg. 148)
- Author :Asim Wasti
- Publication : Rekhta Publications (2020)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.