gai ruton ke hamare zimme ye kaise kaise hisab nikle

gai ruton ke hamare zimme ye kaise kaise hisab nikle
Naseem Makhmoori
MORE BYNaseem Makhmoori
ga.ī rutoñ ke hamāre zimme ye kaise kaise hisāb nikle
shajar vafāoñ ke ham ne bo.e kudūratoñ ke 'azāb nikle
ye kaisī sahrā sī zindagī hai ye pyaas kaisī hai chāhatoñ kī
palaT ke dekhā to har qadam par mohabbatoñ ke sarāb nikle
bas ik nazar meñ matā-e-hastī maiñ us ke qadmoñ pe vaar dūñgī
kabhī shab-e-ġham kī ḳhāmushī meñ agar mirā māhtāb nikle
sunī thiiñ chehroñ kī dāstāneñ magar naqāboñ kī zad meñ dekhā
kisī kā mafhūm paḌh sakūñ maiñ koī to chehra kitāb nikle
'nasīm' sach hai ye zindagī to tavīl kāñToñ kī rah-guzar hai
'razā' kā paikar banūñ ḳhudāyā jo zindagī kā javāb nikle
gai ruton ke hamare zimme ye kaise kaise hisab nikle
shajar wafaon ke hum ne boe kuduraton ke 'azab nikle
ye kaisi sahra si zindagi hai ye pyas kaisi hai chahaton ki
palaT ke dekha to har qadam par mohabbaton ke sarab nikle
bas ek nazar mein mata-e-hasti main us ke qadmon pe war dungi
kabhi shab-e-gham ki KHamushi mein agar mera mahtab nikle
suni thin chehron ki dastanen magar naqabon ki zad mein dekha
kisi ka mafhum paDh sakun main koi to chehra kitab nikle
'nasim' sach hai ye zindagi to tawil kanTon ki rah-guzar hai
'raza' ka paikar banun KHudaya jo zindagi ka jawab nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.