ghair hum ko kahan gawara hai
ġhair ham ko kahāñ gavārā hai
jo hamārā hai bas hamārā hai
merī duniyā meñ raushnī kā sabab
ek chehra hai ik sitāra hai
maiñ tujhe kaise chhoḌ saktī huuñ
tū mirā āḳhirī sahārā hai
aap be-vaj.h yaad aa.e haiñ
aap ko be-sabab pukārā hai
saath rahte to Thiik thā lekin
āḳhirī faisla tumhārā hai
ham ne ik shaḳhs kī tamanna meñ
kul jahān-e-nashāt haarā hai
pūchhtā hī nahīñ koī ab to
marne vaale ko kis ne maarā hai
ruuh sarshār hotī hai sun ke
aap kā naam kitnā pyārā hai
ham ne dekhā hai bārhā chakh ke
ashk kā zā.iqa to khārā hai
ghair hum ko kahan gawara hai
jo hamara hai bas hamara hai
meri duniya mein raushni ka sabab
ek chehra hai ek sitara hai
main tujhe kaise chhoD sakti hun
tu mera aaKHiri sahaara hai
aap be-wajh yaad aae hain
aap ko be-sabab pukara hai
sath rahte to Thik tha lekin
aaKHiri faisla tumhaara hai
hum ne ek shaKHs ki tamanna mein
kul jahan-e-nashat haara hai
puchhta hi nahin koi ab to
marne wale ko kis ne mara hai
ruh sarshaar hoti hai sun ke
aap ka nam kitna pyara hai
hum ne dekha hai barha chakh ke
ashk ka zaiqa to khaara hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.