ghair-mumkin tha charaghon pe guzara apna
ġhair-mumkin thā charāġhoñ pe guzāra apnā
saath laayā huuñ zamīñ par maiñ sitāra apnā
ab to jis rau meñ bhī hogī tag-o-dau meñ hogī
chashm-e-nam chhoḌ chukī kab se kināra apnā
ek usī ḳhatt-e-kam-āmez pe sarhad apnī
vahī ik manzar-e-nādīda hamārā apnā
haath ik ġhaar ke andar se baḌhā merī taraf
āḳhir asbāb-e-safar sar se utārā apnā
yahī bandish ki jise dil bhī kaheñ duniyā bhī
isī andar kī girah par hai guzāra apnā
ik sadā ubhrī thī siine meñ ki phir Duub ga.ī
qāfila chhūT gayā jaise dobāra apnā
'arsa-e-jāñ meñ sahī mohlat-e-vahshat to milī
koī sahrā to huā saare kā saarā apnā
ghair-mumkin tha charaghon pe guzara apna
sath laya hun zamin par main sitara apna
ab to jis rau mein bhi hogi tag-o-dau mein hogi
chashm-e-nam chhoD chuki kab se kinara apna
ek usi KHatt-e-kam-amez pe sarhad apni
wahi ek manzar-e-nadida hamara apna
hath ek ghaar ke andar se baDha meri taraf
aaKHir asbab-e-safar sar se utara apna
yahi bandish ki jise dil bhi kahen duniya bhi
isi andar ki girah par hai guzara apna
ek sada ubhri thi sine mein ki phir Dub gai
qafila chhuT gaya jaise dobara apna
'arsa-e-jaan mein sahi mohlat-e-wahshat to mili
koi sahra to hua sare ka sara apna
- Book : Shaam Ke Baad Kuch Nahin (Pg. 23)
- Author : Shaheen Abbas
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.