Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghairat-e-ruKH se hua hai tere be-nur charagh

Raja Girdhari Parsad Baqi

ghairat-e-ruKH se hua hai tere be-nur charagh

Raja Girdhari Parsad Baqi

MORE BYRaja Girdhari Parsad Baqi

    ġhairat-e-ruḳh se huā hai tire be-nūr charāġh

    jo ho paas to kyūñkar na karūñ duur charāġh

    ġharq hai bas araq-e-sharm meñ tere ruḳh se

    ho na kyoñ parda-e-fānūs meñ mastūr charāġh

    ġhash na khā.eñge kabhī tālib-e-dīdār tire

    nahīñ muusā ye dikhā.egā jinheñ tuur charāġh

    ġhaur kar āshiq-o-māshūq meñ hai ek nuur

    ḳhud parvāna hai aur aap mash.hūr charāġh

    ham jaleñ ātish-e-furqat se magar sad afsos

    baar paa.e tirī ḳhalvat meñ ba-dastūr charāġh

    havas itnī hai ki ai sham.a tirī mahfil meñ

    soz-e-dil mire kar de kabhī mazkūr charāġh

    ġhul machā ye ki huī sub.h ye niklā ḳhurshīd

    tere aate huā raat ko mastūr charāġh

    shab ko is tarh bharī us ne mai-e-ātish-rang

    haath vo taaq huā sāġhar-e-billor charāġh

    ġhair nazroñ meñ kab husn tirā paa.e faroġh

    laakh pur-nūr ho dekhe na magar kor charāġh

    kaaTe khāte haiñ ġham-e-hijr-e-sanam meñ 'bāqī'

    sham.a sayyāre sitāre shab-e-dījūr charāġh

    ghairat-e-ruKH se hua hai tere be-nur charagh

    tu jo ho pas to kyunkar na karun dur charagh

    gharq hai bas araq-e-sharm mein tere ruKH se

    ho na kyon parda-e-fanus mein mastur charagh

    ghash na khaenge kabhi talib-e-didar tere

    nahin musa ye dikhaega jinhen tur charagh

    ghaur kar aashiq-o-mashuq mein hai ek hi nur

    KHud hi parwana hai aur aap hi mashhur charagh

    hum jalen aatish-e-furqat se magar sad afsos

    bar pae teri KHalwat mein ba-dastur charagh

    hawas itni hai ki ai shama teri mahfil mein

    soz-e-dil ka mere kar de kabhi mazkur charagh

    ghul macha ye ki hui subh ye nikla KHurshid

    tere aate hi hua raat ko mastur charagh

    shab ko is tarh bhari us ne mai-e-atish-rang

    hath wo taq hua saghar-e-billor charagh

    ghair ki nazron mein kab husn tera pae farogh

    lakh pur-nur ho dekhe na magar kor charagh

    kaTe khate hain gham-e-hijr-e-sanam mein 'baqi'

    shama sayyare sitare shab-e-dijur charagh

    Source:

    Deewan-e-Urdu (Pg. 38)

    • Author: Raja Girdhari Parsad Baqi
      • Publisher: Ufuq Lakhnavi
      • Year of Publication: 1890
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now