ghalat-bayani pe uski yaqin dikhati rahi

Nusrat Mehdi

ghalat-bayani pe uski yaqin dikhati rahi

Nusrat Mehdi

MORE BYNusrat Mehdi

  ġhalat-bayānī pe us yaqīñ dikhātī rahī

  maiñ sab samajhtī rahī aur muskurātī rahī

  ye soch kar ki taġhāful to us fitrat hai

  maiñ apne dil ko baḌī der tak manātī rahī

  use to lauT ke aanā thā vo lauT aayā

  magar vo aayā to hāthoñ se umr jaatī rahī

  ajab rivāyatī aurat hai zindagī merī

  hamesha hasb-e-zarūrat chāhī jaatī rahī

  use chaman bahār-o-ḳhizāñ se kyā matlab

  vo ek bholī chiḌiyā thī chahchahātī rahī

  vo din ki bojh kaḌī dhuup meñ uThātā rahā

  maiñ ratjagoñ thakan oḌhtī bichhātī rahī

  nazar meñ rahnā thā 'nusrat' to us palkoñ se

  tamām umr maiñ gard-e-safar haTātī rahī

  ghalat-bayani pe us ki yaqin dikhati rahi

  main sab samajhti rahi aur muskuraati rahi

  ye soch kar ki taghaful to us ki fitrat hai

  main apne dil ko baDi der tak manati rahi

  use to lauT ke aana hi tha wo lauT aaya

  magar wo aaya to hathon se umr jati rahi

  ajab riwayati aurat hai zindagi meri

  hamesha hasb-e-zarurat hi chahi jati rahi

  use chaman ki bahaar-o-KHizan se kya matlab

  wo ek bholi si chiDiya thi chahchahati rahi

  wo din ki bojh kaDi dhup mein uThata raha

  main ratjagon ki thakan oDhti bichhati rahi

  nazar mein rahna tha 'nusrat' to us ki palkon se

  tamam umr main gard-e-safar haTati rahi

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY