gale lagae raha sab ka dhyan tha itna
gale lagā.e rahā sab kā dhyān thā itnā
ga.ī rutoñ kā shajar mehrbān thā itnā
na jaane kitne samundar utar ga.e hoñge
kisī ke paañv kā gahrā nishān thā itnā
ḳhalāoñ meñ had-e-fāsil ko khīñchne vaalo
zamīñ se duur kabhī āsmān thā itnā
khaḌā hai sāmne ban kar ḳhulūs kā paikar
jo shaḳhs dekhne meñ bad-zabān thā itnā
badan se ruuh nikalne ke ba.ad lauT aa.ī
vo mar ke bhī na mirā saḳht-jān thā itnā
vo apne qad ko baḌhā kar bhī chhū nahīñ paa.e
jhukā huā ye tirā sā.ebān thā itnā
koī charāġh-e-sahar tak na chal sakā ai 'shād'
galī ke moḌ pe ḳhūnī makān thā itnā
gale lagae raha sab ka dhyan tha itna
gai ruton ka shajar mehrban tha itna
na jaane kitne samundar utar gae honge
kisi ke panw ka gahra nishan tha itna
KHalaon mein had-e-fasil ko khinchne walo
zamin se dur kabhi aasman tha itna
khaDa hai samne ban kar KHulus ka paikar
jo shaKHs dekhne mein bad-zaban tha itna
badan se ruh nikalne ke baad lauT aai
wo mar ke bhi na mera saKHt-jaan tha itna
wo apne qad ko baDha kar bhi chhu nahin pae
jhuka hua ye tera saeban tha itna
koi charagh-e-sahar tak na chal saka ai 'shad'
gali ke moD pe KHuni makan tha itna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.