Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gali gali hain bheDiye muhafizon ke rup mein

Munir Anwar

gali gali hain bheDiye muhafizon ke rup mein

Munir Anwar

MORE BYMunir Anwar

    galī galī haiñ bheḌiye muhāfizoñ ke ruup meñ

    kasāfatoñ raaj hai nafāsatoñ ke ruup meñ

    ham ahl-e-shauq zaḳhm chāTte ravāñ-davāñ rahe

    saḌak pe ḳhaar the saje hue guloñ ke ruup meñ

    huzūr vaqt mil sake to ek baar dekh leñ

    ye sā.iloñ ke mas.ale haiñ fā.iloñ ke ruup meñ

    kahā gayā thā manzil-e-murād pā.eñge magar

    hameñ jo rāhzan mile haiñ rahbaroñ ke ruup meñ

    ab apne ḳhuun par bhī e'timād kuchh muhāl hai

    safediyāñ chhipī huī haiñ surḳhiyoñ ke ruup meñ

    baḌe qalam-farosh log the jinhoñ ne āḳhirash

    hameñ tabāh kar diyā hai 'ālamoñ ke ruup meñ

    abhī se kyoñ gumān-e-tark-e-'āshiqī huā tumheñ

    abhī to nāchtā hai ḳhuun dhaḌkanoñ ke ruup meñ

    gali gali hain bheDiye muhafizon ke rup mein

    kasafaton ka raj hai nafasaton ke rup mein

    hum ahl-e-shauq zaKHm chaTte rawan-dawan rahe

    saDak pe KHar the saje hue gulon ke rup mein

    huzur waqt mil sake to ek bar dekh len

    ye sailon ke masale hain failon ke rup mein

    kaha gaya tha manzil-e-murad paenge magar

    hamein jo rahzan mile hain rahbaron ke rup mein

    ab apne KHun par bhi e'timad kuchh muhaal hai

    safediyan chhipi hui hain surKHiyon ke rup mein

    baDe qalam-farosh log the jinhon ne aaKHirash

    hamein tabah kar diya hai 'alamon ke rup mein

    abhi se kyon guman-e-tark-e-'ashiqi hua tumhein

    abhi to nachta hai KHun dhaDkanon ke rup mein

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now