gali ke moD pe tumko bulana banta tha
galī ke moḌ pe tum ko bulānā bantā thā
vo din chale ga.e jab saath jaanā bantā thā
nadī kināre pe aañsū bahā diye tū ne
yahāñ to terā mirā khilkhilānā bantā thā
ye kyā udāsī liye mere saath chalte ho
tumheñ to merī udāsī baTānā bantā thā
baḌī hī chaah se selfie to tum ne lī hai magar
tumheñ patā hai yahāñ muskurānā bantā thā
ḳhudā se aur to sab ġham chhupā liye lekin
bas ek zaḳhm thā aisā dikhānā bantā thā
koī hai dil meñ tire aur koī ghar meñ hai
so merā apne hī andar Thikāna bantā thā
zarā sā pyaar meñ pāgal bhī ham na ho paa.e
vagarna is meñ to ḳhud ko miTānā bantā thā
use to rakhnā thā ḳhush ek hī to dushman thā
so Thiik haal bhī bigḌā batānā bantā thā
gali ke moD pe tum ko bulana banta tha
wo din chale gae jab sath jaana banta tha
nadi kinare pe aansu baha diye tu ne
yahan to tera mera khilkhilana banta tha
ye kya udasi liye mere sath chalte ho
tumhein to meri udasi baTana banta tha
baDi hi chah se selfie to tum ne li hai magar
tumhein pata hai yahan muskurana banta tha
KHuda se aur to sab gham chhupa liye lekin
bas ek zaKHm tha aisa dikhana banta tha
koi hai dil mein tere aur koi ghar mein hai
so mera apne hi andar Thikana banta tha
zara sa pyar mein pagal bhi hum na ho pae
wagarna is mein to KHud ko miTana banta tha
use to rakhna tha KHush ek hi to dushman tha
so Thik haal bhi bigDa batana banta tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.