Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

galiyon mein aahaTon ke machalne ka waqt tha

Ameer Imam

galiyon mein aahaTon ke machalne ka waqt tha

Ameer Imam

MORE BYAmeer Imam

    galiyoñ meñ āhaToñ ke machalne vaqt thā

    ik aur shaam raat meñ Dhalne vaqt thā

    us vaqt phir hamāre qadam laḌkhaḌā ga.e

    jo vaqt laḌkhaḌā ke sañbhalne vaqt thā

    āñkhoñ se ḳhvāb raat se taare havā se tum

    ik dūsre se sab ke nikalne vaqt thā

    ik raat darmiyān rakhī thī jamī huī

    pighlī nahīñ go us ke pighalne vaqt thā

    log ek dūsre se bichhaḌte chale ga.e

    vo rāstoñ ke raah badalne vaqt thā

    ye to tumhāre khelne khāne ke roz the

    ye to tumhāre phūlne-phalne vaqt thā

    galiyon mein aahaTon ke machalne ka waqt tha

    ek aur sham raat mein Dhalne ka waqt tha

    us waqt phir hamare qadam laDkhaDa gae

    jo waqt laDkhaDa ke sanbhalne ka waqt tha

    aankhon se KHwab raat se tare hawa se tum

    ek dusre se sab ke nikalne ka waqt tha

    ek raat darmiyan rakhi thi jami hui

    pighli nahin go us ke pighalne ka waqt tha

    log ek dusre se bichhaDte chale gae

    wo raston ke rah badalne ka waqt tha

    ye to tumhaare khelne khane ke roz the

    ye to tumhaare phulne-phalne ka waqt tha

    Source:

    Subh Bakhair Zindagi (Pg. 70)

    • Author: Ameer Imam
      • Edition: First
      • Publisher: Rekhta Publications
      • Year of Publication: 2018
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now