Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gham bhi sadiyon se hain aur dida-e-tar sadiyon se

Faheem Jogapuri

gham bhi sadiyon se hain aur dida-e-tar sadiyon se

Faheem Jogapuri

MORE BYFaheem Jogapuri

    ġham bhī sadiyoñ se haiñ aur dīda-e-tar sadiyoñ se

    ḳhāna-barbādoñ ke ābād haiñ ghar sadiyoñ se

    dar-ba-dar un bhaTaknā to na.ī baat nahīñ

    chāhne vaale to haiñ ḳhāk-basar sadiyoñ se

    koī mushkil na masāfat hai na raste thakan

    asl zanjīr hai sāmān-e-safar sadiyoñ se

    tujh se milne ke sivā saarī duā.eñ gulshan

    ik yahī shāḳh hai be-barg-o-samar sadiyoñ se

    kyā musāfir haiñ ye raste meñ bhaTakne vaale

    jaise be-samt ghaTāoñ safar sadiyoñ se

    kis ne dekhī hai zamāne meñ vafā ḳhushbū

    ye kahānī hai kitāboñ meñ magar sadiyoñ se

    har zamāne meñ ḳhushāmad ne sadārat hai

    kāmrāñ hotā rahā hai ye hunar sadiyoñ se

    mā-sivā husn kahīñ ishq ne dekhā na 'fahīm'

    ek samt ko jāmid hai nazar sadiyoñ se

    gham bhi sadiyon se hain aur dida-e-tar sadiyon se

    KHana-barbaadon ke aabaad hain ghar sadiyon se

    dar-ba-dar un ka bhaTakna to nai baat nahin

    chahne wale to hain KHak-basar sadiyon se

    koi mushkil na masafat hai na raste ki thakan

    asl zanjir hai saman-e-safar sadiyon se

    tujh se milne ke siwa sari duaen gulshan

    ek yahi shaKH hai be-barg-o-samar sadiyon se

    kya musafir hain ye raste mein bhaTakne wale

    jaise be-samt ghaTaon ka safar sadiyon se

    kis ne dekhi hai zamane mein wafa ki KHushbu

    ye kahani hai kitabon mein magar sadiyon se

    har zamane mein KHushamad ne sadarat ki hai

    kaamran hota raha hai ye hunar sadiyon se

    ma-siwa husn kahin ishq ne dekha na 'fahim'

    ek hi samt ko jamid hai nazar sadiyon se

    Source:

    Adhoori Baat (Pg. 13)

    • Author: Faheem Jogapuri
      • Edition: 2009
      • Publisher: Rehmania Foundation, Azad Nagar, Bihar
      • Year of Publication: 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now