gham-e-hayat bata de ki kya pasand nahin
ġham-e-hayāt batā de ki kyā pasand nahīñ
hamārī kaun sī tujh ko adā pasand nahīñ
ḳhudā sune na sune is kā ġham nahīñ lekin
hamāre haq meñ tumhārī du'ā pasand nahīñ
mire mizāj ke rahte nahīñ haiñ log yahāñ
makān apnā hai lekin jagah pasand nahīñ
tumhāre shahr se fauran maiñ lauT jā.ūñgā
tumhāre shahr kī āb-o-havā pasand nahīñ
hamāre sāmne un kī shikāyateñ na karo
hameñ to shikva shikāyat gila pasand nahīñ
mire vatan kī hai miTTī bahut pasand mujhe
mire vatan kī siyāsī fazā pasand nahīñ
akele saare zamāne se laḌte rahne kī
hameñ tumhārī ye 'ādat 'ziyā' pasand nahīñ
gham-e-hayat bata de ki kya pasand nahin
hamari kaun si tujh ko ada pasand nahin
KHuda sune na sune is ka gham nahin lekin
hamare haq mein tumhaari du'a pasand nahin
mere mizaj ke rahte nahin hain log yahan
makan apna hai lekin jagah pasand nahin
tumhaare shahr se fauran main lauT jaunga
tumhaare shahr ki aab-o-hawa pasand nahin
hamare samne un ki shikayaten na karo
hamein to shikwa shikayat gila pasand nahin
mere watan ki hai miTTi bahut pasand mujhe
mere watan ki siyasi faza pasand nahin
akele sare zamane se laDte rahne ki
hamein tumhaari ye 'adat 'ziya' pasand nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.