gham-e-hayat ko hairat mein Dalte rahna
ġham-e-hayāt ko hairat meñ Dālte rahnā
jahāñ talak bhī ho sāġhar uchhālte rahnā
jalī huī haiñ jo sham'eñ udaas palkoñ par
inhī se qarya-e-jāñ ko ujālte rahnā
'adū se rabt baḌhā kar bhī kab ravā Thahrā
ye ham ko vā'da-e-fardā pe Tālte rahnā
abhī to baat karo ham se dostoñ kī tarah
phir iḳhtilāf ke pahlū nikālte rahnā
isī meñ 'ishq kī sehat kā raaz muzmar hai
sadā koī na koī rog pālte rahnā
qatīl ek yahī shaġhl hai pasand hameñ
ḳhayāl-e-yār ko sheroñ meñ Dhālte rahnā
gham-e-hayat ko hairat mein Dalte rahna
jahan talak bhi ho saghar uchhaalte rahna
jali hui hain jo sham'en udas palkon par
inhi se qarya-e-jaan ko ujalte rahna
'adu se rabt baDha kar bhi kab rawa Thahra
ye hum ko wa'da-e-farda pe Talte rahna
abhi to baat karo hum se doston ki tarah
phir iKHtilaf ke pahlu nikalte rahna
isi mein 'ishq ki sehat ka raaz muzmar hai
sada koi na koi rog palte rahna
qatil ek yahi shaghl hai pasand hamein
KHayal-e-yar ko sheron mein Dhaalte rahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.