gham hon kitne hi magar lab pe tabassum rakhiye
ġham hoñ kitne hī magar lab pe tabassum rakhiye
zindagī ḳhud hai ġhazal is meñ tarannum rakhiye
hāl-e-dil ḳhud hī kahā jaa.e to kyā baat rahī
rah ke ḳhāmosh bhī andāz-e-takallum rakhiye
bazm-e-hairat hai jahāñ dekhiye raunaq us kī
misl-e-ā.īna magar chehre ko gum-sum rakhiye
bazm-e-rindāñ meñ bhī ādāb raheñ pesh-e-nazar
sāmne shauq se phir jaam hī kyā ḳhum rakhiye
fikr-o-ehsās kī duurī se bikhartā hai vujūd
qalb aur zehn meñ kyoñ koī tasādum rakhiye
zindagī kāvish-e-paiham ke sivā kuchh bhī nahīñ
ho ke ġharqāb bhī maujoñ meñ talātum rakhiye
kījiye dasht-navardī to 'ibādat kī tarah
ḳhāk-paimā haiñ to ehsās-e-tayammum rakhiye
ruḳh pe ubhre na shikan mauj-e-havādis se kabhī
dil kī gahrā.ī meñ bhī vus'at-e-qulzum rakhiye
TuuTe jab shīsha-e-dil aa.e na bāhar āvāz
guuñj meñ naġhma-e-mahfil kī use ġham rakhiye
gham hon kitne hi magar lab pe tabassum rakhiye
zindagi KHud hai ghazal is mein tarannum rakhiye
haal-e-dil KHud hi kaha jae to kya baat rahi
rah ke KHamosh bhi andaz-e-takallum rakhiye
bazm-e-hairat hai jahan dekhiye raunaq us ki
misl-e-aina magar chehre ko gum-sum rakhiye
bazm-e-rindan mein bhi aadab rahen pesh-e-nazar
samne shauq se phir jam hi kya KHum rakhiye
fikr-o-ehsas ki duri se bikharta hai wujud
qalb aur zehn mein kyon koi tasadum rakhiye
zindagi kawish-e-paiham ke siwa kuchh bhi nahin
ho ke gharqab bhi maujon mein talatum rakhiye
kijiye dasht-nawardi to 'ibaadat ki tarah
KHak-paima hain to ehsas-e-tayammum rakhiye
ruKH pe ubhre na shikan mauj-e-hawadis se kabhi
dil ki gahrai mein bhi wus'at-e-qulzum rakhiye
TuTe jab shisha-e-dil aae na bahar aawaz
gunj mein naghma-e-mahfil ki use gham rakhiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.