Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gham ka pahaD mom ke jaise pighal gaya

Ahmed Nisar

gham ka pahaD mom ke jaise pighal gaya

Ahmed Nisar

MORE BYAhmed Nisar

    ġham pahāḌ mom ke jaise pighal gayā

    ik aag le ke ashkoñ sūrat nikal gayā

    ḳhush-fahmiyoñ ko soch ke maiñ bhī machal gayā

    jaise khilaunā dekh ke bachcha bahal gayā

    kal tak to kheltā thā vo sho.aloñ se aag se

    jaane aaj kaise vo paanī se jal gayā

    jhulse badan ko dekh ke katrā rahā hai vo

    jis ke maiñ ghar aag bujhāne meñ jal gayā

    bārish huī ġhamoñ to āñkhoñ siip meñ

    aañsū qatra palkoñ se girte sambhal gayā

    vaise sabhī to ziist se dāman bachā liye

    vo kaun hai jo maut se bach kar nikal gayā

    taqdīr so na jaa.e kahīñ jāgiye zarā

    dekho taraqqiyoñ bhī sūraj nikal gayā

    gar ho sake to aap bhī badlo miyāñ 'nisār'

    kahnā paḌe na ye ki zamāna badal gayā

    gham ka pahaD mom ke jaise pighal gaya

    ek aag le ke ashkon ki surat nikal gaya

    KHush-fahmiyon ko soch ke main bhi machal gaya

    jaise khilauna dekh ke bachcha bahal gaya

    kal tak to khelta tha wo shoalon se aag se

    na jaane aaj kaise wo pani se jal gaya

    jhulse badan ko dekh ke katra raha hai wo

    jis ke main ghar ki aag bujhane mein jal gaya

    barish hui ghamon ki to aankhon ki sip mein

    aansu ka qatra palkon se girte sambhal gaya

    waise sabhi to zist se daman bacha liye

    wo kaun hai jo maut se bach kar nikal gaya

    taqdir so na jae kahin jagiye zara

    dekho taraqqiyon ka bhi suraj nikal gaya

    gar ho sake to aap bhi badlo miyan 'nisar'

    kahna paDe na ye ki zamana badal gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now