Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gham ka sahra na mila dard ka dariya na mila

Sahir Hoshiyarpuri

gham ka sahra na mila dard ka dariya na mila

Sahir Hoshiyarpuri

MORE BYSahir Hoshiyarpuri

    ġham sahrā na milā dard dariyā na milā

    ham ne marnā bhī jo chāhā to vasīla na milā

    muddatoñ baa'd jo ā.īne meñ jhāñkā ham ne

    itne chehre the vahāñ apnā chehra na milā

    qatl kar ke vo ġhanīmoñ ko jo vāpas aa.e

    apne ghar meñ unheñ koī shanāsā na milā

    ham bhī nikle the sūraj ke nagar meñ ik din

    vo añdherā thā vahāñ apnā bhī saaya na milā

    tishna-lab yuuñ to zamāne meñ kabhī ham na rahe

    pyaas jo dil bujhā detā vo dariyā na milā

    mil ga.e ham ko sanam-ḳhānoñ meñ kitne ḳhudā

    DhūñDne par koī banda ḳhudā na milā

    aap ke shahr meñ peḌoñ nahīñ koī shumār

    do ghaḌī rukne ko lekin kahīñ saaya na milā

    sabz pattoñ se milā ham ko bahāroñ surāġh

    shāḳh-e-nāzuk pe magar koī shagūfa na milā

    mustahaq ham tirī rahmat ke na hone paa.e

    terī duniyā meñ koī 'uzr ḳhatā na milā

    ḳhud-numā.ī ke bhī is daur meñ ham ko 'sāhir'

    koī qātil na milā koī masīhā na milā

    gham ka sahra na mila dard ka dariya na mila

    hum ne marna bhi jo chaha to wasila na mila

    muddaton ba'd jo aaine mein jhanka hum ne

    itne chehre the wahan apna hi chehra na mila

    qatl kar ke wo ghanimon ko jo wapas aae

    apne hi ghar mein unhen koi shanasa na mila

    hum bhi ja nikle the suraj ke nagar mein ek din

    wo andhera tha wahan apna bhi saya na mila

    tishna-lab yun to zamane mein kabhi hum na rahe

    pyas jo dil ki bujha deta wo dariya na mila

    mil gae hum ko sanam-KHanon mein kitne hi KHuda

    DhunDne par koi banda hi KHuda ka na mila

    aap ke shahr mein peDon ka nahin koi shumar

    do ghaDi rukne ko lekin kahin saya na mila

    sabz patton se mila hum ko bahaaron ka suragh

    shaKH-e-nazuk pe magar koi shagufa na mila

    mustahaq hum teri rahmat ke na hone pae

    teri duniya mein koi 'uzr KHata ka na mila

    KHud-numai ke bhi is daur mein hum ko 'sahir'

    koi qatil na mila koi masiha na mila

    Source:

    Sehr-e-Khayal (Pg. 16)

    • Author: Sahir Hoshiarpuri
      • Edition: 1990
      • Publisher: Modern Publishing House
      • Year of Publication: 1990
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now