gar idhar chale aate tum kisi bahane se
gar idhar chale aate tum kisī bahāne se
ham najāt pā jaate do ghaḌī zamāne se
jab kabhī akele meñ paas aa ke baiThī hai
lag ke ḳhuub ro.e haiñ zindagī ke shāne se
sirf ashk de kar hī tum ḳharīd sakte ho
ham nikal ke aa.e haiñ dard ke ḳhazāne se
shab ko shab banāne ke aur bhī sharā.it haiñ
raat ho nahīñ jaatī chāñd jagmagāne se
dard thā qarīne se chhup ke ro liye hote
kyā milā bhalā is ko mudda'ā banāne se
ek din sitāroñ se mil ke un se pūchheñge
uub kyoñ nahīñ jaate roz jhilmilāne se
ye alag ki āḳhir meñ ham hī jiit jā.eñge
fā.eda nahīñ lekin baat ab baḌhāne se
'umr-bhar kī rindī ne bas yahī sikhāyā hai
pyaas aur baḌhtī hai pyaas ko bujhāne se
dukh to hai hasīñ manzar aañkh se huā ojhal
niiñd khul ga.ī lekin ḳhvāb TuuT jaane se
gar idhar chale aate tum kisi bahane se
hum najat pa jate do ghaDi zamane se
jab kabhi akele mein pas aa ke baiThi hai
lag ke KHub roe hain zindagi ke shane se
sirf ashk de kar hi tum KHarid sakte ho
hum nikal ke aae hain dard ke KHazane se
shab ko shab banane ke aur bhi sharait hain
raat ho nahin jati chand jagmagane se
dard tha qarine se chhup ke ro liye hote
kya mila bhala is ko mudda'a banane se
ek din sitaron se mil ke un se puchhenge
ub kyon nahin jate roz jhilmilane se
ye alag ki aaKHir mein hum hi jit jaenge
faeda nahin lekin baat ab baDhane se
'umr-bhar ki rindi ne bas yahi sikhaya hai
pyas aur baDhti hai pyas ko bujhane se
dukh to hai hasin manzar aankh se hua ojhal
nind khul gai lekin KHwab TuT jaane se
- Book : Raushni Jaari Karo (Pg. 53)
- Author : Manish Shukla
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.