aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

garche ai dil aashiq-e-shaida hai tu

Mushafi Ghulam Hamdani

garche ai dil aashiq-e-shaida hai tu

Mushafi Ghulam Hamdani

MORE BYMushafi Ghulam Hamdani

    garche ai dil āshiq-e-shaidā hai

    lekin apne kaam meñ yaktā hai

    āshiq o ma.ashūq kartā hai judā

    ai falak ye kaam bhī kartā hai

    laakh parde gar hoñ tere husn par

    koī pardoñ meñ chhupā rahtā hai

    hāl-e-dil kahne lagūñ huuñ maiñ to shoḳh

    mujh se yuuñ kahtā hai ''kyā baktā hai tuu''

    paas baiThā us ke maiñ royā kiyā

    yuuñ na pūchhā mujh se ''kyūñ rotā hai tuu''

    raat din hai mirī āġhosh meñ

    maiñ tirā sāhil mirā dariyā hai

    bazm meñ us tund-ḳhū dauḌ dauḌ

    kaam kyaa? kyūñ? kis liye jaatā hai

    vaañ nahīñ mutlaq tirā mazkūr bhī

    'mus.hafī' kis baat par bhūlā hai

    garche ai dil aashiq-e-shaida hai tu

    lekin apne kaam mein yakta hai tu

    aashiq o mashuq karta hai juda

    ai falak ye kaam bhi karta hai tu

    lakh parde gar hon tere husn par

    koi pardon mein chhupa rahta hai tu

    haal-e-dil kahne lagun hun main to shoKH

    mujh se yun kahta hai kya bakta hai tu

    pas baiTha us ke main roya kiya

    yun na puchha mujh se kyun rota hai tu

    raat din tu hai meri aaghosh mein

    main tera sahil mera dariya hai tu

    bazm mein us tund-KHu ki dauD dauD

    kaam kya? kyun? kis liye jata hai tu

    wan nahin mutlaq tera mazkur bhi

    'mushafi' kis baat par bhula hai tu

    Source:

    kulliyat-e-mas.hafii(divan-e-doom) (Pg. 233)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now