Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gard ke unwan se kyon mil rahi hai gard saqi

Abaan Asif Kachkar

gard ke unwan se kyon mil rahi hai gard saqi

Abaan Asif Kachkar

MORE BYAbaan Asif Kachkar

    gard ke unvān se kyoñ mil rahī hai gard saaqī

    dard-mandānī jānib haa.e hai hamdard saaqī

    vo jo sāġhar haath meñ le chashm se jaam hogā

    bārhā vo mahfiloñ shaan hai mai fard saaqī

    bazm-e-ḳhud ke mausamoñ rang-o-bū sarshār hai yaañ

    garmi-e-mai-nosh kar kuchh to hai vaañ sard saaqī

    be-badal be-iḳhtiyārāñ kiyā mujhe sar chuur shīsha

    mujh ko phir de kar davā kar davā ko dard saaqī

    ashk aajiz hote hote ishq baa.is kyoñ na hogā

    ek dam soz se jo dekh le be-pard saaqī

    hazrat-e-nāseh se ma.alūm kar dard-o-kasak

    ek hai be-dard saaqī ek hai pur-dard saaqī

    gard ke unwan se kyon mil rahi hai gard saqi

    dard-mandani ki jaanib hae hai hamdard saqi

    wo jo saghar hath mein le chashm se hi jam hoga

    barha wo mahfilon ki shan hai mai fard saqi

    bazm-e-KHud ke mausamon ki rang-o-bu sarshaar hai yan

    garmi-e-mai-nosh pa kar kuchh to hai wan sard saqi

    be-badal be-iKHtiyaran kiya mujhe sar chur shisha

    mujh ko phir de kar dawa kar tu dawa ko dard saqi

    ashk aajiz hote hote ishq bais kyon na hoga

    ek hi dam soz se jo dekh le be-pard saqi

    hazrat-e-naseh se ja malum kar dard-o-kasak tu

    ek hai be-dard saqi ek hai pur-dard saqi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now