ghaur bhala kab un par farmata hun main
ġhaur bhalā kab un par farmātā huuñ maiñ
kuchh bāteñ to yuuñ hī kah jaatā huuñ maiñ
dil ke kāmoñ meñ merā kuchh daḳhl nahīñ
haañ mauqa' lagne par samjhātā huuñ maiñ
lauTnā hotā hai jab shahr-e-hasrat se
achchhā-ḳhāsā bojh uThā laatā huuñ maiñ
dekho kis kī samā'at kartī hai ehsān
kis ko apnā haal sunā paatā huuñ maiñ
merī kamī mahsūs na hone paa.e tujhe
kuchh aisā māhaul banā jaatā huuñ maiñ
tanhā.ī kī baat alag hai 'tarkash' jī
aur kisī ke haath nahīñ aatā huuñ maiñ
ghaur bhala kab un par farmata hun main
kuchh baaten to yun hi kah jata hun main
dil ke kaamon mein mera kuchh daKHl nahin
han mauqa' lagne par samjhata hun main
lauTna hota hai jab shahr-e-hasrat se
achchha-KHasa bojh uTha lata hun main
dekho kis ki sama'at karti hai ehsan
kis ko apna haal suna pata hun main
meri kami mahsus na hone pae tujhe
kuchh aisa mahaul bana jata hun main
tanhai ki baat alag hai 'tarkash' ji
aur kisi ke hath nahin aata hun main
- Book : Udaas Logon Ka Hona Bahut Zaruri Hai (Pg. 42)
- Author : Tarkash Pradeep
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.