Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghazab hai dekhne mein achchhi surat aa hi jati hai

Imdad Ali Bahr

ghazab hai dekhne mein achchhi surat aa hi jati hai

Imdad Ali Bahr

MORE BYImdad Ali Bahr

    ġhazab hai dekhne meñ achchhī sūrat aa jaatī hai

    nahīñ roke se dil ruktā tabī.at aa jaatī hai

    bharā hai dil hamārā dostoñ bevafā.ī se

    kahāñ tak zabt bātoñ meñ shikāyat aa jaatī hai

    paḌegā tere meñ shak na sun ġhammāz bāteñ

    hazār ā.īna ho dil par kudūrat aa jaatī hai

    ye kyā ma.alūm thā ye ishq saudā.ī bānegā

    kahīñ Taltī hai aane vaalī aafat aa jaatī hai

    tilā.ī rañg par kyuuñ kar na un logoñ ko ġharrā ho

    ye zar vo chehra hai ḳhātir meñ naḳhvat aa jaatī hai

    junūn-e-ishq meñ har chand kuchh ġhairat nahīñ lekin

    jo koī taan kartā hai hamīyat aa jaatī hai

    ajab rūdād hai apnī bayāñ karte haiñ ham jis se

    nikal aate haiñ aañsū us ko riqqat aa jaatī hai

    nikal jaa.e na kyuuñ kar shahr se majnūñ bayābāñ ko

    bashar ko apnī uryānī se ġhairat aa jaatī hai

    hañsī achchhī nahīñ dekho tamīz is meñ nahīñ rahtī

    ki muñh lag chalne meñ bose naubat aa jaatī hai

    lachakte kamar zulf-e-rasā jhoñk lene se

    asar ma.ashūq-pan hai nazākat aa jaatī hai

    bahut apne ko shā.ista vo ġhairoñ meñ banāte haiñ

    tabī.at meñ jo garmī hai sharārat aa jaatī hai

    kahāñ tak nek sohbat asar hogā na insāñ ko

    mile tāñbā jo sone se to rañgat aa jaatī hai

    ḳhudā sūrat na dikhlā.e mujhe ātish-izāroñ

    hazār un se hai dil ThanDā harārat aa jaatī hai

    duā-e-maġhfirat jab māñgte haiñ us se ro ro kar

    barābar josh meñ ḳhāliq rahmat aa jaatī hai

    koī mahbūb us jaan saa.il jo hotā hai

    jhukā letā hai 'bahr' āñkheñ muravvat aa jaatī hai

    ghazab hai dekhne mein achchhi surat aa hi jati hai

    nahin roke se dil rukta tabiat aa hi jati hai

    bhara hai dil hamara doston ki bewafai se

    kahan tak zabt baaton mein shikayat aa hi jati hai

    paDega tere ji mein shak na sun ghammaz ki baaten

    hazar aaina ho dil par kudurat aa hi jati hai

    ye kya malum tha ye ishq saudai banega

    kahin Talti hai aane wali aafat aa hi jati hai

    tilai rang par kyun kar na un logon ko gharra ho

    ye zar wo chehra hai KHatir mein naKHwat aa hi jati hai

    junun-e-ishq mein har chand kuchh ghairat nahin lekin

    jo koi tan karta hai hamiyat aa hi jati hai

    ajab rudad hai apni bayan karte hain hum jis se

    nikal aate hain aansu us ko riqqat aa hi jati hai

    nikal jae na kyun kar shahr se majnun bayaban ko

    bashar ko apni uryani se ghairat aa hi jati hai

    hansi achchhi nahin dekho tamiz is mein nahin rahti

    ki munh lag chalne mein bose ki naubat aa hi jati hai

    lachakte hi kamar zulf-e-rasa ki jhonk lene se

    asar mashuq-pan ka hai nazakat aa hi jati hai

    bahut apne ko shaista wo ghairon mein banate hain

    tabiat mein jo garmi hai shararat aa hi jati hai

    kahan tak nek sohbat ka asar hoga na insan ko

    mile tanba jo sone se to rangat aa hi jati hai

    KHuda surat na dikhlae mujhe aatish-izaron ki

    hazar un se hai dil ThanDa hararat aa hi jati hai

    dua-e-maghfirat jab mangte hain us se ro ro kar

    barabar josh mein KHaliq ki rahmat aa hi jati hai

    koi mahbub us ki jaan ka sail jo hota hai

    jhuka leta hai 'bahr' aankhen murawwat aa hi jati hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now